BEWARE!! THIS IS MY FIRST ATTEMPT AT URDU POETRY, I DONT KNOW IF U WILL SURVIVE READING THIS!!
Tanhaaee kya hai?
Tanhaaee gar kabhie akelepan ka dariya hai, to kabhi khud ko samajhne ka zariya.
Kabhie ek pal bhi tanhaaee me guzar nahee paataa hai
To kabhie is tanhaaee me bahut mazaa aata hai.
Tanhaee ko akelaapan samajhne kee ghalti karne vaalo,
Shor o gul se door, isee tanhaaee mein to, insaan apne aapko,
Apnee hee maujoodgi ka ehsaas dilaa paata hai!!
Aasoon kya hain??
khushi ho ya gham, ye kabhie bhi jhalak jaate hain
kabhi rote ki, to kabhi haste ki aankho me nazar aate hain.
duniya ke tano ke darr se, kabhie log inhe aakhon ka kachda keh kar chupa lete hain,
to kabhie apne dard ko chupa, inhe khushi ke aasuon mein tabdeel kar lete hain!!
Andhera kya hai?
Andhera gar gham ke baadlon ka gehra saaya hai,
to andhere mein hee roshni ka raaz bhi samaayaa hai.
Andhere mein gum hote, andhere se darte logon,
aaj ka andhera hee to kal kee roshni ka paighaam laayaa hai!!
Yaad kya hai??
Bhool kar cheezon ko yaad kiya jata hai,
bhool kar jab koi bahut yaad aata hai,
chehra jab uska aakhon mein aasoon le aata hai,
tab dil dhikkar ke kehta hai, “aye dost, tujhe koi haq nahi use yaad karne ka,
yaad to use kiya jaataa hai jise ye dil kabhie bhula bhi pataa hai”
Khaamoshi kya hai??
Khaamoshi ek anjaanaa ehsaas hai,
phir bhi lagta jaana pehchaana saa ankahaa raaz hai.
is ehsaas ko, raaz ko kuch kehte hue hai maine suna!!
log to aaj bolte ko khaamosh kar dete hain
maine to khaamoshi ko baate karte hue hai suna!!